Computer ya Laptop me screenshot
keise lete hai?
Hy guys, aaj
main aapko btane wala hu ki aap apne computer ya laptop pe screenshot keise
capture kr skte hai. Ye bahut hi easy trick hai but kuch log aise hai jinhe
abhi tk iska pta nahi hai or unhe ye bahut difficult lgta hai, but guys aisa
bulkul nahi hai koi bhi kaam tab tak kathin lgta hai jab tak hum usko karne ki
bas sochte rehte hai. So friends ye trick btane se pehle aap ko ek aware or tip
dena chahunga ki apne PC, Mobile, Laptop me screenshot lene ke liye koi app ya
software download na kare bcoz ye kaam aap bina app ke kar skte hai…
To chaliye
btata hu ki keise hum Computer ya Laptop me screen shot capture kar skte hai..
1) Sabse pehle us screen ko open Karen
jise capture karke aap photo me convert karna chahte hai..
2) Ab aap ko do button dabane hai pehle
Windows fir Print Screen.
Dosto agr
aap newbie hai to usually aap ko problem face karni pad rahi hogi, to main
thoda easy me btata hu. Sabse pehle alt ke paas windows button hai use dabaye
or tb tk apni finger us se na htaye jb tk aap upr diya Print screen Button na
daba le ab aapka screenshot capture ho chukka hai ye photo aapko My
Computer/This PC me jake Pictures>Screenshot folder me mil jayega.
Tip: dosto
ye trick sabhi computers ya laptops me or sabhi windows versions me chalti hai
agr aapko is trick se related koi dusri problem aa rhi hai to aap mujhse
contact karke solution paa sakte hai mujhe Email Karen ( Panwerdishu@gmail.com
) ya facebook page ke through mujhse contact Karen.
Guys aapko
mera ye article keisa lga aap mujhse jarur btayen comments me. Thanks
#PanwerDishu
Tags :. How to capture a screenshot on pc/laptpop or win10, pc tricks in hindi, how to take screenshot on pc/ laptop in hindi
No comments:
Write Comments