imdishu

social counter

About Imdishu

हैलो दोस्तो मेरा नाम Dishu है और मैं इस Blog का Founder And CEO हुं , आपके लिए बहुत सारी Useful Information इस वेबसाइट पर मिलेगी अगर पसंद आए तो Follow और Subscribe करें हमारी वेबसाइट को , Thank You मेरे बारे मे और भी जानने के लिए Click करें ..

Like Us On Facebook

Contributors

My Photo
नमस्कार दोस्तों मैं एक हिमाचली ब्लॉगर (Himachali Blogger) हुं और मैंने अपनी बलौग इसलिये बनाई है ताकि हिंन्दी भाषा का प्रचार कर सकं ताकि सभी हिन्दी भाषा में ब्लॉगिंग करें व हिन्दी को अपना गौरव मान मर्यादा माने। www.imdishu.com हिमाचल में इकलौती एैसी Blog/Website है जो नियमित पोस्ट करती है व नया लाती है तोकि हमारे हिमाचली भाई व समस्त भारतीय कुछ अच्छा पढ़ सके। जय हिंद जय भारत। #Imdishu #Hindi Blogs

Comment

Outdoor


vertical posts

latest tweets

business

ad space

vehicles

Featured Posts

our facebook page

about us

Slide show

health

recent posts

recent posts

social counter

advertisement

random posts

advertisement

Category 1

Headlines

Theme images by centauria. Powered by Blogger.

Search This Blog

business

Popular Posts

14/04/2017

Sare useful mobile apps ki jankari hindi me

Hello Guys Aaj main aapko mobile ke sabse useful or ache apps ke baare me batane wala hu , or unke fayde bhi btaane wala hu umeed karta hu ki aapko yeh post pasand aaye or comments me batana na bhule , comments me aap apne favorite app ya programme ke baare me bhi bata sakte ho or unke fayde or tricks bhi bta sakte ho , ya aisi koi jankari jo dusro ko pata na ho wo bhi aap logo se share kar sakte hai or hum us baat pe ek post likhenge aapke naam ke sath , thanks


Sabase useful app kon sa hai ? Did you know that ?
Yeh to weise koi nahi bata sakte kyunki sabhi apps ki apni khasiyat or features hote hai , or mere hisab se google play store bhi kafi useful hai kyuki agar wo na hota to android me apps keise download hote ?
Sahi hai na ?  To chaliye aapko batate hai kuch apps ki jankari or unke mazedar fayde :

Social Networking Apps :
Whatsapp : Ye ek mazedar app hai isme aap apne dosto se baat kar sakte ho , aap isme video call , free voice call , text massages , audio bhej kar bhi baaten kar sakte ho or sath hi aap audio , video , pictures , pdf documents bhi share kar sakte ho or ab 2017 me status ka new feature bhi aaya hai jisme aap text status ki jagah photos ya video bhi rakh  ho aap chahe to ab do do status rakh sakte ho , ab text status ko about ka naam de diya gaya hai , aap about me kuch bhi likh sakte ho text limit hai - 122 , ab whatsapp pr two step verification ka feature bhi add huaa hai jisse aap apne whatsapp account ko protect kar sakte ho or hackers se bacha sakte ho .


2: Facebook : Facebook ke baare me to sabhi jante hai ki ye 2004 me mark zuckerburge ne banai thi or ye bhi ek social Network hai , jise bahut hi ache se design kiya gya tha or ise mark ne sirf 41 din me bana diya tha or main to mark zuckerburge ka fan hu or wo wakai me ache proggrammer hai,Facebook pe Aap Friends ko text massage bhej sakte ho or stickers ke sath sath aap video or audio note bhi bhej sakte ho or iski facebook application ke sath messenger bhi download krna padta hai jo sirf chating ke liye hai , ab fb pe live video ka bhi option aa chuka hai aap sidhe live jaker dosto ke bta sakte ho or hzaro log aapko ek sath dekh payenge , fb pe hazaro hidden features bhi hai , aap 90 Din me ek baar apna profile name change kar sakte ho , aap chahe to usse pehle renew kar sakte ho , fb pe legecy member ka bhi feature hai jisme aap apni fb id ka varis choose kar sakte ho , sath hi aap ye bhi dekh sakte ho ki kis kis mobile me or kon si jagah pe aapka account open kiya gaya tha , ye kafi jaroori hai aap hafte me ek baar jaroor dekh liya karo ki kahin kisi dusre ne to aap ka account access to nhi kiya? Agr kiya to aap apna facebook name change kar do or sath hi password bhi , or ho sake to fb primary phone Number bhi change kar do fir wo confuse ho jayega ki  aakhir ho kya Gya , or is tarh aap hacking se bhi bach sakte ho , dosto aapki safety aapke hath me hoti hai aap mouka hi mat do kisi ko bs aap password strong use karo jaise : psy&420
Ye ek strong password hai ise koi guess tak nahi kar sakta , kyuki isme alpha - numeric - symbolic words ka use kiya gaya hai , facebook sabse acha platform hai sabse judne ke liye isme aapko kisi ke phone number ki jaroort nahi padti kisi ko dhundne ke liye or msg bhejne ke liye jaise ki whatsapp me hota hai , isme aap unknown persons ko bhi friend request bhej sakte ho , par main advise dunga ki aap apne janne walo ( Friends , classmates , family , neighbour buddies , teachers , ) ko hi add kare warna unknowns hmesha problem create karte hai jaise ki faltu ke photos tag karna or massages or yahan tk ki kai baar porn photos ya words bhi aapki profile me post kar dete hai jisse hume sharmindgi ka bhagidar banna padta hai , or logo ki nazar me image kharab hoti hai . best of luck

More Social Apps For Android -




  • Email : ye kafi pehle hai hai , aap isme kisi ko email bhej sakte hai par uske liye aapke paas uski email id honi jaroori hai  kuch is tarh ki : panwerdishu@gmail.com  tbhi aap usko mail bhej pate ho , aap mail me koi file bhi Attacth kar sakte ho jaise ki  - Photos , Audio (mp3 file ) , video , PDF , Apps (Apk, jad , jar , exe )  and Zip file ...

Email ko sbse fast service mana gya hai , pehle to chithi bhejte the or mahino ke baad wo chitthi aage pahunchti thi or chithi ka jwab aate aate bhi mahine guzar jaya karte the par ab smay nhi rha wo , ab 1 second me massage chala jata hai chahe India se America bhej do or 3-4 second baad hi uska jawab bhi aa jata hai , smay smay ki baat hai .


Uc browser , opera , firefox ,chrome : ye sab internet ke browsers hai inme aap internet use kar sakte ho or koi bhi website access kar sakte hai sath hi files download bhi kar sakte hai jaise ki : music download , photos download , videos download , movies download , apps download , PDF download , And aap inme daily news ,books , stories , etc bhi padh skate ho , and online business bhi kar sakte ho or ye sab matlb computer ka kaam mobile phone me hi ho jata hai , or smay ke sath ye bhi badal gya hai , pehle log bhari bharkam computer pe kaam karte the or use uthakr nhi le ja sakte the fir laptops aaye par wo mehange hai to jyada log nahi kharid pate ab smartphone me hi sare office works ho jate hai or mobile phone ek vardan ki tarh mila hai insan ko pr log iska misuse karne lage hai jo future me bahut bura sabit ho sakta hai ... Be carefully

Clean master : ye sab apps mobile ko safe rakhte hai or ye virus se mobile ko bchate hai pr kuch antivirus apps aise hote hai Jo khud hi mobile ko damage kar dete hai to dhyan se apps download karne chahiye aap chahe to pro / premium plan bhi le sakte hai isme aapko antivirus ke liye paise pay karne hote hai or fir aapka antivirus ache se kaam krte hai ..

More antivirus for Android :



Camera / Photos editing apps , PicsArt   : Ye sabhi photo tools hai aap camera ke apps se photos or videos capture kar sakte hai or unhe print bhi karwa skate hai or photo editing apps jaise ki PicsArt or photoshop ya photoscape se aap photos ko edit Kar sakte ho aap apne photos me effects and text bhi add kar sakte ho or photos ko crop bhi kar sakte ho , or social networks ke sath share bhi kar sakte ho ,


Google maps : ye Hume phone me ek useful app milta hai agar aapke phone me nahi hai to aap play store se bhi download kar sakte hai , isme hum apni location bhi check kar skate hai sath hi apne photos bhi add kar sakte hai , or logo se location share bhi Kar skate ho , aap google maps ka use place navigation ke liye bhi Kar sakte ho , isme google maps aapko disha btata hai ki kahan jana hai or abhi kahan ho or ye bahut faydemand hai , aapko kagaz ke bane map ki jarurt nhi hai aap ke phone me hi sab kuch hai , aap time bhi dekh sakte hai ki e.g shimla to Delhi kitna time lagega Jane me aap chahe to driving mode , walking ,Cycle bhi select kar sakte ho , to ye btayega ki cycle se jayenge to itna time lagega or agr car se jaoge to itna time lagega , agr mast baabe paidal hi jayenge to itna time lgega ,



MX Player  : 
Isme aap videos dekh sakte ho or movies bhi , Maine kai baar isme ek problem face ki , AC3 ki isme Jo HD movies hogi uski volume nhi aati par ab Maine iska solution bhi dhund liya hai , aap internet se ARMv_neon_1.8.0 file download karo pr file zip format me honi chahiye , or MX player open karke settings pr click karke ab decoder pr click krke last me option hoga wahan click krke is file ko select krna or ab aapki sari full HD movies me volume aa jayegi .... MX Player ek music player bhi hai aap ise music player ki tarh bhi use Kar sakte hai , or isme gane sun sakte hai .


Truecaller ID hume sabhi phone numbers ki details deta hai jaise ki naam , address , email address , location , or true caller me apni ek free blacklist bhi hoti hai aap usme numbers add Kar sakte ho Fir un mobile phone numbers se aapko calls ya text massages receive nahi honge , true caller hume user ka sahi naam or pata bta deta hai or ye app hm sb ke liye faydemand hai, aap iski settings me jaker text massages enable Kar sakte hai fir jab bhi koi unknown number se aapko text , WhatsApp pe massage aayega to aapke phone ke notification bar pe uska naam bhi show ho jayega ....
Or bhi bahut se fayde hai iske jaise spammers list , isme ek spammer list added hai jisme aap sare spam numbers ki list dekh sakte ho or unhe wahin se block kr sakte ho ....

MicroSoft Office , office 365 , Office Suite : ye apps aise apps hai Jo sbse jyada fayde mand hai ye khaskr business ke liye hai , aap inme apna office ka kaam Kar sakte ho , aap inme presentations create Kar sakte hai or Jo kaam ms-word , ms-excel , ms-powerpoint jaise apps karte hai wo sab inme ho jata hai aap inme text documents bhi bna sakte ho , or share karne ke sath sath internet pe bhi upload Kar sakte ho ...
Aap inme in formats ke documents tyar Kar sakte ho - DOC File , DOCX File , DOCM File , RTF File , ODT File , TXT File , LOG File , XLS File , XLSX File , XLSM File , ODS File , CSV File , PPT File  , PPTX File , PPTM File , ODP File , PPS File , PPSX File , PPSM Fils .

Aap İsme ZIP Files And PDF Files Ko Bhi Open Kar Sakte hai .

Nokia Music , Wynk music , saavn , google play music : ye sabhi apps online music player ki tarh hai aap inme online music sun sakte ho aap koi bhi song sun sakte ho or offine play ke liye save bhi Kar sakte ho sath hi logo se music ya music link share bhi Kar sakte hai .

More apps for online music :


9apps : isse aap bahut achi achi games or apps and photos download Kar sakte ho or isme money Earn bhi ki ja sakti hai aapko bus sign up karna hai or fir kuch apps or photos ya games download karni hai jab points payable ho jayenge to aap usse apna free recharge bhi kar sakte hai , 
9apps 1 billon+ log install kar chuke hai kyuki isme km se km or jyada se jyada MB ki apps and games Mil jati hai yahan tak ki isme 200KB ki apps bhi mil jati hai aap 9apps se apne phone ke liye badhiya widgets bhi download kar sakte ho or themes bhi , isse aapke phone ko acha look milta hai or aapka phone sabko pasand aata hai .... 
Isi tarh ke or bhi apps hai jaise ki google play store , iTunes store , app store ... Aap inse bhi apps or games download ya buy kr sakte ho 



DU Battery Saver ek acha mobile battery saver hai isse aap apne phone ki jyada se jyada battery charging bacha sakte ho or mobile phone jyada time tk use kar sakte ho isme trickle charging jaise options bhi milte hai or sath hi ye aapke phone ko damage bhi nahi karega. . 


Ye sare apps ek blogger ke liye jaruri apps hai agr aap bhi blogging karte hai to aap jarur jante Honge in apps ke bare me , adsense me hum apni earning check Kar sakte hai or ads bhi yahan se lga sakte hai .

AdWords me hm Apni blog ke liye long tail keywords plan Kar sakte hai or analytics me ham apni blog ki details check kar sakte hai ki total visitors kitne the aaj ya pichle hafte ya mahine , or kitne users new aaye , ya kitne logo ne page ki links share ki , or ye bhi dekh sakte hai ki kitne logo ne Humari blog ko computer me open kiya tha or kitne ne mobile or tablet me , sath hi aapko users ki bahut sark details or data bhi dekhne ki suvidha milti hai ....
Download Adsense For :
 İphone :- Adsense
Android :- Adsense

More Apps For Pro Bloggers -



Framaroot , Super SU ,VRoot , Z4Root , KingRoot , Towel Root : inse aap Apne phone ko root kar sakte ho or bahut sare options ka fayda le sakte ho or root se mera mtlb hai aapka phone developer mode me covert ho jata hai or aap iske developer ban jate hai , fir aap isms kuch bhi isme kuch bhi add or delte kar sakte ho jaise ki system apps delete Karne ho ya new apps add karne ho ya jaise apps se hacking karni ho ....or ye sare apps aapko play store ya iTunes store par bhi badi aasani se mil jate hai or he sare free apps hai...



More useful Apps For Android Mobile :


Thank you
Follow us on Facebook

No comments:
Write Comments

Interested for our works and services?
Get more of our update !